SWARAJ
Dil ke har kone mein hai swaraj….
Bacchon ke rone mein hai swaraj….
Jahan ke rag rag mein hai
swaraj…. Jahan tak asambhav hai wahan hai swaraj….
Ashqon ke lahu mein hai swaraj
….. Streeyon ke sammann mein hai swaraj….
Praja ke jo kaan mein goonje ……
Wo hai swaraj….
Swabhimann aur jeevan ke upkaar
mein hai swaraj….
Jeev – Jantuon ke paropkaar mein
hai swaraj….
Bujurgon ke pyar aur uddhar mein
hai swaraj….
Mahasagar ke saar mein hai
swaraj….
Bheege jo reat mein banke anaaj wo hai swaraj….
Siksha – sanskaar mein hai
swaraj….
Ashanti aur kranti ke beech ki
maryada hai swaraj….
Andhkaar ka kaal hai swaraj….Sher
ki dahaad hai swaraj….
Hathi ki unchai se Parvaton Ka
Prakaar Hai Swaraj….
Gadit ki gadna aur sadhu ki
tapasya hai swaraj….
Mann ki haar….. aur icchashakti
ka vikaar hai swaraj….
Jeet ki tamanna …. Aur raat ka
dhalna hai swaraj….
Vaadiyon ki aandhi …. Aur sholon
ka toofan hai swaraj….
Dushmano ki haar…. Aur prakrati
ka sringaar hai swaraj…..
Diye ki jyoti…. Aur maakhan ki
roti ….mein hai swaraj….
Jwalamukhi ki Jwala …. Aur ujale
mein diwala ka raag ….
Hai swaraj….
Kalam ki shamsheer…..Aur krodh ki
teer….. mein hai swaraj…..
Bhukhmari ki maar…. Aur sampannta
ki pukaar….
Mein hai swaraj….
Mahesh ke tandav…. Chattrapatiyon
ke Sardaar ke kull mein hai Swaraj…..
Brahma ke vardan …. Aur Vishnu Ke
Avtaar…. Mein hai swaraj…..
Sheetal dhaara ….. Aur eklavya ka
taara ki disha …..Mein hai swaraj….
Taaramandal ke trikod…. Aur
Zindagi ke har Mod… Mein hai Swaraj….
Jung ke maidaan…. Aur Vijay ke
gudgaan mein hai swaraj…..
Chappan Bhog ka tyag…. Aur maa ke
ashirvaad mein hai swaraj….
Rishton ki mithaas….. Aur paani
ki pyaas ….. Mein hai swaraj….
Asuron ke vinaash …. Aur Tansen
ke taal… mein hai swaraj….
Chakravyuh ke prakop…. Aur Sukh-
Shanti ke Lok …. Mein hai swaraj…..
Hirankashyap ki khaal…. Aur Makdi
ke jaal…. Mein hai swaraj….
Sikander Mahaan ki sena …. Aur shaam ki raina…. Mein
Hai swaraj….
Chandragupta Maurya Ke
Samarpann…. Aur Chanakya Ke Margdarshan…. Mein hai swaraj….
Bhimkaay ki kaaya …. Aur Chhatrapati
Shivaji Maharaj ki Chhatrochaya ….Mein hai swaraj…
Vijayan Chola Ke Samrajaya …. Aur
Chhatrapati Shambhaji Maharaj Ki Bhujaaon….Mein Hai Swaraj….
Raja Ugrasen Ki Karuna ….Aur Raja
Bhirmal ki Vijaydanka ….. Mein hai swaraj….
Chhatrasaal Ke Tej…. Aur Maharana
Pratap Ke Chetak …. Mein Hai Swaraj..,..
Akbar ki Haar ….. Aur Maharawal
Ratan Singh Ki Jayjaykaar…. Mein Hai Swaraj….
Humayun Ke Patan…. Aur Hinduon Ke
Watan …. Mein Hai Swaraj….
Aurangzeb Ke Nukeele Takht…. Aur
Sangharsh Ke Rakht …. Mein hai Swaraj…
Raja Chandaalkaal Ki Tapish…. Aur
Allauddin Ki Gardish ….Mein hai swaraj….
Porus Samrat Ke Hausle…. Aur
Bulbul Ke Ghosle …. Mein Hai Swaraj….
Selucus Ki Adikta…. Aur Bechain
Mann Ki Vidambna …..Mein Hai Swaraj….
Bharat Ke Samvidhaan…. Aur
Pratham Kanoon Mantri Ki Kamaan ….. Mein Hai Swaraj…..
Tirange ki Unchai….Aur Chaati Ki
Chaaudaai…. Mein Hai Swaraj….
Doodh Ki Malai… Aur Kaaju Ki
Mithai …. Mein Hai Swaraj….
Skandgupta ki Dhaal…..Aur Talwar
Ki Raftaar…. Mein Hai Swaraj….
Baudh Dharam Ki Sthapna….. Aur Hasya
Ki Paribhasha …. Mein Hai Swaraj….
Samandaar Ke Sartaj…. Aur
Chhatrapatiyon Ke Sardaar …. Ke Ankhon Ke Namak ….
Mein Hai Swaraj…..
Upyukta Samasta Veeron Ke
Avtaar…. Mein hai Swaraj…..
Unki Ankhon Ke Taaro….. Aur Ungli
Ki Dhaaron ….
Mein Hai Swaraj…..
