SANGEET ( EK KATHANAK )
ASVIKARAN/ DISCLAIMER :
Ye KATHANAK ( SCRIPT ) Jiska Seershak Hai “ SANGEET “ , KINJAL JAYANT Dvara Likhi Gayi Hai. Iss Kathanak Ke Saare Paatra
Kalpanik Hain. Iss Kathanak Mein Hone Wali Sarii Ghatnayein Avastavik Hain ,
Aur Inka Kisi Vyakti Yaa Sthaan Se Koi Sambandh Nahi Hai.
PAATRA
/ CHARACTERS :
1 ) SANJAY
2 ) VIJAY
3 ) RAHUL
4 ) VIPUL
KAHANI :-
Mera Naam Sanjay Hai , Aaj Mai Ek Safal Gayak Hoon , Mere Seh Kalakaar
Hain , Vijay , Aur Vipul.
Sangeet Sirf Dil Se Nahi Balki Dimag Se Bhii Nikalta Hai , Mere Guru
Rahul Ne Hamesha Se Yahi Sikhaya Hai.
Ek Manch Parr Mera Show Hone Wala Hai , Aur Uske Liye Main Riyaaz Karr
Raha Hoon.
Tabhi Vijay Mere Paas Aata Hai , Aur Bolta Hai Kii Sangeet Shuru Hone
Waala Hai.
Main , Rahul Aur Vipul Manch Kii Taraf Baddhte Hain.
Main Gayak Hoon , Vijay Guitarist Hai , Aur Vipul Tabla Vaddak Hai.
Kuch Der Baad Show Shuru Hota Hai , Main Ek Geet Gaata Hoon , Uske
Tatpaschat Do Ghante ( 2 Hours ) Show Chalta Hai , Main Kayi Geet Gaata Hoon.
Show Khatam Hone Ke Baad , Mujhe Ek Baccha Nazar Aata Hai , Jo , Mera
Autograph Lena Chahta Hai , Maine Usse Autograph Diya.
Uss Bacche Ne Bola Kii , Kii Aap Bohot Acha Gaate Hain.
Aap Ne Sangeet Kahan Se Seekha ?
Tabb Maine Bola Kii Sangeet Sirf Dil Se Nahi Balki Dimag Se Bhii Nikalta
Hai , Aisa Mere Guru ( Rahul ) Ne Mujhe Sikhaya Hai.
Show Safal Raha , Abb Main Soch Raha Hoon Apne Purane Dino ( Days ) Ke
Baare Mein.
Main Sangeet Seekhne Guru Rahul Ke Paas Jaata Hoon , Unhone Ne Mujhse
Koi Geet Gaane Ke Liye Bola.
Main Ek Geet Gaata Hoon , Tabb Guru Ji Ne Kaha Tumhe Mehnat Karne Ki
Jarurat Hai.
Main Hatash Ho Jaata Hoon , Tabhi Guru Ji , Kehte Hain , Kii Sangeet
Sirf Dil Se Nahi Balki Dimag Se Bhii Nikalta Hai.
Tabb Maine Soch – Vichaar Kia , Kafi Der Sochne Ke Baad Maine Geet Ko
Mehsoos Kia , Iss Prakaar Kii , Geet Ko Mann Khush Hokar Gaana Chahiye Kyunki ,
Geet Khushi Se Nikalta Hai , Aur Jabb Mann Khush Hota Hai , Aur Dil Bechain
Hota Hai , Tabb……….
Usse Sangeet Kehte Hain ……… Guru Ji Ne Bola.
Unki Issi Baat Parr Maine Amal Kia Aur Aaj Main Ek Safal Gayak Hoon ,
Kyunki Main Geet Nahi Sangeet Gaata Hoon.
-
KINJAL
JAYANT
