SHUBH DEEPAVALI
( PRATHAM DIN – DHANTERAS )
Deepavali Parv , Jisko Diwali Bhii Kehte Hain , Poore Desh Mein Bohot Dhoom Dhaam Se Manaya Jata Hai , Deepavali Paanch Din ( 5 Days ) Ka Tyohar Hai , Jisme Pratham Din Dhanteras Ke Roop Mein Manaya Jaata Hai : -
DHANTERAS :-
Dhanteras , Deepavali Parv Ka Pratham Din Hota Hai , Dhanteras Ke Din
Ghar Ke Baahar Ghee Ya Tel ( Oil ) Ka Deepak ( Diya ) Prajwalit Kiya Jaata Hai.
Dhanteras Ke Din Sona ( Gold ) – Chandi ( Silver ) Khareeda Jaata Hai ,
Jisse Ghar Mein Sukh Shanti Aati Hai.
Dhanteras Behadd Shubh Din Hota Hai , Aur Iss Din Ladai – Jhagda ,
Kalesh Yaa Shor Nahi Machana Chahiye.
Dhanteras , Ke Din Bacchon ( Kids ) Ko Badon ( Elders ) Ka Aadar (
Respect ) Karna Chahiye.
Saath Hee Saath Patakhe ( Crackers ) Bhii Iss Din Se Jalana Shuru Kia
Jaata Hai.
-
KINJAL JAYANT
