DIWALI PARV
KYUN MANAYA JAATA HAI ?
AAIYE JAANTE
HAIN
DIWALI MEIN DIYE ATHVA DEEPAK KYUN JALAYE JAATE HAIN ?
Diwali roshni kii jyoti waala tyohaar
hai, iss parv mein bhaichaara toh badhtaa hee hai, kyuki chandrama assht ho
jaata hai. Jiski wajah se charon taraf khushi aur sadbhaavna ka mahaul chha
jaata hai. Diwali mein diye jalaane kaa ek samanya kaarann yeh hai kii Diwali
mein Chalawa naamak pret andhere mein ek aamtaur pe dekhe jaane waale roop mein
samanyajann ke gharon mein ghuspaith karta hai. Issi pret nee saare lokon mein
aatank machaa rakha thaa. Diye ki roshni Chhatrapatiyon Ke Sardaar kii aankhon
mein prajvalit rehti hai, jiske kaarann diwali mein ye pret visfot ke saath svahaah
ho jaata hai.
AMAVASYA
KII RAAT KAALI KYUN HOTI HAI ?
Diwali ya
Deepavali 5 din kaa paavan parv hai, jisme
pratham din hai :
#1) Dhanteras
, jiski ye manyata hai kii, Dhanteras
ke din dhan praapti ka yog sattkarmon ke kaarann dhan prapti ke liye
prayatnasheel rehna chahiye, jiska arth hai kii naa khud pareshaan ho aur naa
hee doosron ko pareshaan karo, kyukii aisa karne se narak mein bhi jagah nahi
milti hai,…… Sirf ek jagah milti hai…… Chhatrapatiyon Ke Sardaar kii
Kaalkothari, jahan dushkarmiyon aur durachariyon ko anantkaal tak unsee ghor
paap karne kii wajah poochi jaati hai, aur unhe yatanayein bhi dii jaati hai,
aur aisi yaatnayein jiski kalpana sayad hee koi kar sake. Dhanteras ke din
shubh kaam ye karna chahiye kii gau maata ke pavitra doodh ko grahann karna
chahiye aur jeevan bhar sadachaar aur sattkarmon ke marg par naa keval chalna
chahiye balki, dushton ke naash ke liye sadaiv taiyaar rehna chahiye.
#2)
CHOTI DIWALI ATHVA GHEE PRAJVALIT JYOT DEEPAWALI:
Choti Diwali ko Ghee Prajvalit Jyot Deepawali iss liye kehte hain kyunki
iss din shagun baisakh ki tithi shuru hoti hai, jiska arth hai kii , miss din
diye desi ghee se prajvalit karne chahiye jiske piche kaa kaarann ye hai kii
iss din desi ghee ka Deepak ki jyot jalane se ghar mein sukhon ka kutumb yog
banta hai, aur ye sukh sirf sadachariyon ko naseeb hota hai.
#3) BADI
DIWALI ATHVA AMAVASYA DIN AEVAM RAATRI KII DIWALI:
Ye din poore harsh aur utsah ke saath
manaya jaata hai, jiskaa kaarann hai kii iss din pooja path kaa aur paitrik
sukh samriddhi ka din hota hai, iss din patakhe bhi iss prakaar jalaye jaane
chahiye jiss se doosron ko haani naa pahuche khaskar pasuoan ko, agar koi bhi
ye ghor paap karta hai, toh uske poori nasal ko Ahankaar Bhashma Vidhvanshnasak
Yog banta hai aur iss din Ashanti aur
Gaali Galauj karne se poori sampatti, sammann, sukh, vilas, neend , chaein sab
nasht ho jaata hai aur chote se chota dand mrityudand milta hai, jo kii seedhe
nyayalay ke chakkar lagwata hai aur aediyan ghis-ghis ke wo vyakti jeevan bhar
khoon ke aasu bahata hai.
#4)
PITARPACH: Ye din paitrik poorvajon ko sammann
pradaan karne kaa hota hai, aur koi vyakti marta nahi hai. Iss din laiya gatta
aur lajeej pakvaan ( sakahaari) bhojan grahann karne kaa din hota hai. Poore
diwali parv mein lajjej pakvaan khaana chahiye.
#5)
Bhai Dooj: Iss din apne bhai behanon ka satkaar
karna chahiye , jiske kaaran kisi tarah kii apadaa aur alag hone ka yog bann
heee nahi sakta.
Amavasya kii raat kaali iss liye hoti
hai kyunki , iss din Chandrama durachariyon aur Chalawa naamaak pret kii upasna
karne wale kukarmiyon ko dand dene ke liye assht aur vakri ho jaata hai, Jiske
kaaran Chalawa kii kaafi had takk indriyan niskreey ( inactive ) ho jaati hain.
NOTE:-
∙ Iss din dhoom dhadakka aur udham machaane
se →
Chhatrapatiyon Ke Sardaar ka shraap
lagta hai, jiske kaarann kuch hee dino mein saare sukh bhang ho jaate hain. Aur
wo dusht, aur kalankit vyakti poora jeevan yahi vidambnaa mein rehta hai kii
usne aisa kiya kyun ?
∙ Diwali ko Deepawali
iss liye bhi kaha jaata hai kyunki “Deepa”ka arth hota hai Chatra Chaaya aur “Wali” ka
Arth hota hai Sukh. Poora samvaad hota hai “ Chaatra Chaaya ka Sukh “.
-
KINJAL
JAYANT