THE 8 MOST DANGEROUS UNKNOWN URBAN
LEGENDS ( PART-II )
#1) VALAK: Valak ek naastik pret hai jo khundaal lok mein
vaas karti hai, ye pret chudailon se zyada dusht aur darindagi karti hai, ye ek
matra aisa pret hai jo kisi bhi vyakti ko sammohit kar sakti hai, iski ankhon
mein mucus bhara hota hai, aur yeh pret khundaal lok ki aaka hoti hai, iska
rang safed hota hai aur ye naastik isliye maani jaati hai, kyuki yeh Naag naam
ke doosre kiwandanti ya pret ko apne muh mein qaid kar ke rakhti hai jaha valak
uss se naapak kaam karati hai aur ye pret lambi kadd kii hoti hai parr kisi
vyakti ke andar pravesh nahi kar sakti hai.
#2)
BHEDIYAMANAV ( KESHRAKHWA ) : Bhediyamanav sese ye saari vidambna aur afwayein galat hain kii
yeh aadha bhediya aur aadha maanav hai , yeh bhediyemanav isliye kehlaya jaata
hai kyunki iski twacha se khoon aur mucus kii badboo aati hai, ye keshrakhwa
naam se bhi jaana jata hai, iska chehra baalon se bhara hua hota hai aur ye
chote kadd ka hota hai aur naa keval iski aankhen peeli hoti hain , balki yeh
bohot neech aur paapi pret hai, yeh bhediye ke aakar kaa nahi hota hai, iska
naam bhediyamanav isliye pada kyuki yeh baalon se bhara hota hai. Yeh alturalok
mein nivaas karta hai.
#3)
HICHKOBER : Hichkober lambe kadd ka pret hai, ye pret ek
khilone ke aakar kaa hota hai, aur ye saanp aur anya chote pasuoan ko nigal
jaata hai, iss pret ka khilone saaman chehra isliye hai kyunki ye singhkatwa
naam ke pret dwara ek dawa ke vash ke kaaran naapakye harkatein karne lagta hai
kyuykii uss dawa mein ek jinnad qaid hota hai. Ye pret huhulok mein nivaas
karta hai.
# 4)
GALTAPRET: Galtapret ek
darinda hai jo jiss bhi praani ke sampark mein aata hai uski charbi galakar
usmein narak ke keede aur kaala khoon bhar deta hai, jiss se uss praani ko
mukti nahi milti hai aur wo anantkaal tak mandaalar lok mein yaatnayein paata
hai. Isiliye ye pret bohot kukarmi aur neech maana jaata hai.
#5) SISURAKHWA : Ye
ek aisa pret hai jo beeghad mein vaas karta hai, ye ek chhote bacche ke samann
nazar aata hai aur mritak saman nazar aata hai, iski aankhen poori kaali hoti
hai, kyuki ye andha hota hai, iski aankhon mein rustaaglok hota hai jiske
kaarann ye bilkul dekh sunn nahi paata hai keval isse naali kee keede khane kaa
mann karta hai.
# 6) SISHUNAGRAKHWA: Ye pret poori tarh paagal hota hai, isse bhram
aur neend ki bhayankar vyadhi ( beemari ) hoti hai jiski wajah se ye bhoolvash
kahin bhi chala jaata hai, aur ye khatrnaak isliye lagta hai kyukii yeh ek
sookhi reedh ki haddi ke aakar kaa hota hai, chehra ek sukde huye khodi ke
prakaar hoti hai joki munh ke jabde se paiini yaani sakri hoti hai aur niche ka
hissa ek ghumaodaar poonch ki tarah hota hai. Iske guptang ( unknown part )
mein doshlok hota hai.
#7 )
AATMADAAYAN: Ye ek janana
pret hai iski aankhein poori tarah khuli hoti hain aur ye kabhi bhi kuch bhi
kisi ke saath kar sakti hai. Iska jabdaa nahi hota hai, jiske kaaran iska moonh
poori tarah zameen tak khul jaata hai aur ye jinn – jinnadon se zada tez
cheekhti hai aur iske munh mein ek khatarnaak lok hota hai jise angaarkhoon lok
kehte hain.
#8 ) KANKAALRAKHWA: Ye pret ek kankaal kaa dhaancha nazar aata
hai jiske sar pe seengh hotke hain aur ye ek pret ghode par sawaar hokar aata
hai, jiski aankhein neeli hoti hai aur iske daanton mein khooni mucus hota hai,
iska kadd aam vyati se kayi guna lambaa hota hai aur ye bhi singhkatwa ke
dwaara dii gayi ussi dawa ke kaarann kisi bhi lok mein aa jaa sakta hai. Iska
nivaas sthaan hai kantakkapaal lok.
NOTE:
→ Ye sabhi pret singhkatwa ke dwara dawa de
jaane ke kaaran asuri gatividhiyan
failate hain , aur ye bhi Chalawa naamak dusht pret dwaara vardaan prapt kar
chuke the ujiska kaaran yahi singhkatwa thaa joki dawa mein jinnad aur jinn
qaide inn preton ko pahucha deta thaa.
→Inn sabhi preton kaa vadh Chhatrapatiyon Ke Sardaar ke haathon ho chukka hai.
-
-
KINJAL
JAYANT