SHUBH DEEPAVALI ( CHAUTHA DIN – PAREVA )

 

SHUBH DEEPAVALI

( CHAUTHA DIN – PAREVA )


Deepavali Ek Behadd Shubh Tyohar Hai , Deepavali Paanch Dino ( 5 Days ) Ka Tyohar Hai Jo Poore Desh Mein Khoob Harsh Aur Khushiyon Ke Saath Manaya Jaata Hai , Pareva Deepavali Ke Chauthe Din Manaya Jaata Hai :-

 

PAREVA  :-

Pareva Behadd Shubh Tyohar Hai , Pareva Ke Din Prvajon Ko Sammann Diya Jaata Hai , Aur Gharon Mein Saaf – Safai Kii Jaati Hai.

Pareva Ke Din Ghar Mein Shubh Kaarya Hote Hain , Aur Gharon Mein Khushali Aur Sukh – Sampada Aati Hai.

Pareva Ke Din Ghar Mein Shaant Mahaul Banaye Rakhna Chahiye Aur Kisi Bhii Tarah Kii Ladai – Jhagda Yaa Kalesh Nahi Karna Chahiye.

Pareva Ke Din Bhii Gharon Mein Ghee Ya Tel Ke Diye Prajwalit Kiye Jaate Hain Aur Rang Birangi Moombattiyan ( Candles ) Jalayi Jaati Hain.

Pareva Ke Din Shaam Ko Patakhe ( Firecrackers ) Bhii Jalaye Jaate Hain.

 

-        KINJAL JAYANT

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form